
Dekho toot raha hai,
Nabh se uska pyaara choot raha hai.
Kya nabh rota sa dikhta hai,
Kya koi taara bujha bujha sa lagta hai?
Phir tum kyu rote ho,
Dukh ke kshano me apna sanyam kyu khote ho?
Jeevan apni gati se chalta hai,
Samay har pal hi badalta hai.
Jo chala gaya use jana tha,
Khushi ka kshan uska tumhare jeevan me aana tha.
Un khushi ke palo ko sanjo lo,
Jeevan jis kshan tak hai jee lo.
Jeevan me naye taare aayenge,
Jevan ke shunya ko bhar jaayenge.
tabhi ambar har taare ke tootne par mook raha hai,
Dekho taara toot raha hai.
Dekho taara toot raha hai.
GIPHY App Key not set. Please check settings