Bhagwan aur Khuda, a poem that talks about United India. The poem is written by Milap Milan Zaveri, the music is by Lijo George and Poem narrated by Manoj Tiwari Manoj Bajpayee. It is a heart-touching poem and Manoj Bajpayee has done a total justice with the narration.
Lyrics:
Bhagwan Aur Khuda
Aapas Mein Baat Kar Rahe The
Mandir Aur Masjid Ke Bich
Chaurahe Par Mulaqaat Kar Rahe The
Ke Haath Jode Ho Ya Dua Mein Uthe
Koyi Fark Nahi Padta Hai
Koyi Mantra Padhta Hai
Toh Koyi Namaaz Padhta Hai
Insaan Ko Kyun Nahi Aati Sharam Hai
Jab Woh Bandook Dikha Kar Poochhta Hai
Ki Kya Tera Dharam Hai
Uss Bandook Se Nikli Goli
Na Eid Dekhti Hai Na Holi
Sadak Pe Bas Sajti Hai
Begunah Khoon Ki Holi
Bhagwan Aur Khuda
Aapas Mein Baat Kar Rahe The
Mandir Aur Masjid Ke Bich
Chaurahe Par Mulaqaat Kar Rahe The
Sab Ko Hum Dono Ne Issi Mitti Se Banaya
Koi Janma Ammy Ki Kokh Se
To Koyi Maa Ke God Mein Rota Aaya
Kon Hai Woh Kambakht
Jisne Nafrat Ka Paath Padhaya
Kisi Akbar Ko Kaha Maa Ko Maar
Aur Amar Ko Haatho Ammi Ko Marwaya
Mamta Ka Gala Goth Ne Wale Bewkoofon Ko
Koi Samjhaao Mazhub Ki Is Jang Mein
Tumne Insaniyat Ko Dafnaya
Bhagwan Aur Khuda
Aapas Mein Baat Kar Rahe The
Mandir Aur Masjid Ke Bich
Chaurahe Par Mulaqaat Kar Rahe The
Follow our Facebook page for more videos.
Also view: You’ve come too far to quit|Motivational Video
GIPHY App Key not set. Please check settings