Angaro par chal ke tune apni kismat ko chuna hai
sangharsh hai ye tera
abhi to waqt ka pahiya chalna shuru hua hai
bhool mat jaana tu wo lohe salaakhen
basti hai jaha aaj bhi wo khauphanaak yaadein
dard sehana hai baaki jaise aag mein ho jana
aansoo ko yaad rakhna tu unke, kabhi phir mat khabrana
sehana hai tujhe bar bar, shyad bina kisi kasoor
namak hai ye tere zakhmo par, kar de inko nasoor
aaj ladkar tu thakana mat hai ye kauravo ki sena
raah dekhni hai tujhe, shri krishna ban tu mera
jung ka ailaan to ho chuka hai, bas shankh ko bajane ki ijazat chaiye
har tarah se har kar bhi, tu kahan thaka hai
teri kismat se paankho ki hiphaajat jo chaiye
ye har bar bar aegi, isse jeetana hi lakshya ko paana hai
apna paraaya kya saasein bhi chod jaegi
bas bhoolna mat tu, yahi to zamaana hai,
yahi to zamaana hai
GIPHY App Key not set. Please check settings