in ,

On Women day Special- Bekhauff

Deewarein oonchi hai, galiyaan hai tang
Lambi dagar hai par himmat hai sang
Paaon pe chhaale hai, saansein buland
Ladne chali hoon aazaadi ki jung

Bekhauf aazaad hai jeena mujhe
Bekhauf aazaad hai rehna mujhe
Bekhauf aazaad hai jeena mujhe
Bekhauf aazaad hai rehna mujhe

Reeti ki zanjeere kha gayi zang
Nyaay ke mandir bhi ho gaye bhang
Zamaana chale na chale mere sang
Bolungi halla, awaaz dabangg

Bekhauff azaad hai kehna mujhe
Bekhauff azaad hai rehna mujhe
Bekhauff azaad hai kehna mujhe
Bekhauff azaad hai rehna mujhe

Chotein jism par marham umang
Laash nahi hoon mann zinda patang
Dil mein ummeedein or khushiyon ke rang
Har aansu banega ik nayi tarang

Haan.. bekhauf azaad hai behna hai mujhe
Bekhauff azaad hai rehna mujhe
Bekhauff azaad hai behna hai mujhe
Bekhauff azaad hai rehna mujhe

Deewarein oonchi hain, galiyaan hain tang
Lambi dagar hai par himmat hai sang
Paaon pe chhaale hai, saansein buland
Ladne chali hoon aazaadi ki jung

Bekhof azaad hai jeena mujhe
Bekhof azaad hai rehna mujhe
Bekhof azaad hai jeena mujhe
Bekhof azaad hai rehna mujhe

What do you think?

Hero

Written by pragya singh

Years Of MembershipContent AuthorYears Of MembershipContent AuthorUp/Down VoterUp/Down VoterYears Of MembershipUp/Down VoterYears Of MembershipUp/Down VoterContent AuthorContent Author

Comments

Share your commnents

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

GIPHY App Key not set. Please check settings

Loading…

0

10 steps to boost your financial health

Quote on liberty , equality and fraternity by B R Ambedkar