in ,

Motivational Song: Khulke jeene ka

Khulke jeene ka
Tareeka tumhein sikhate hain
Hans ke dekho na
Lateefa tumhein sunate hain

Umar ke saal kitne hain
Gin gin ke kya karna
Beet jaayein na
Ginti mein hi warna

Aao filmon ke
Be-adab gaane gaate hain
Heroine hero
Aaj hum-tum ban jaate hain

Khulke jeene ka
Tareeka tumhein sikhate hain
Hans ke dekho na
Lateefa tumhein sunate hain

Khushiyan to rakhi hain pocket mein
Kaagaz ke nanhe se packet mein
Inki bijli ki tarah
Kyun bachat karein batao na
Kharch kar dalenge saari aaj hi aao na

Hai mehnge dard bade
Aur muskaan paayi humne maut mein

Khul ke jeene ka
Tareeka tumhein sikhate hain
Hans ke dekho na
Lateefa tumhein sunate hain

Umar ke saal kitne hain
Gin gin ke kya karna
Beet jaayein na
Ginti mein hi warna

Aao filmon ke
Be-adab gaane gaate hain
Heroine hero
Aaj hum-tum ban jaate hain

Dil ki hai itni hi nadaani
Chutki mein ho jaaye rumani
Yaari aur chahat ke jo
Beech ki maheen sarhad hai
Paar kar jaana dil ki buri aadat hai
Aasani se aa jaaye
Do anjaan akhiyon ki giraft mein

Khulke jeene ka
Tareeka tumhein sikhate hain
Hans ke dekho na
Lateefa tumhein sunate hain

Umar ke saal kitne hain
Gin gin ke kya karna
Beet jaayein na
Ginti mein hi warna

Aao filmon ke
Be-adab gaane gaate hain
Heroine hero
Aaj hum-tum ban jaate hain

Khulke jeene ka
Tareeka tumhein sikhate hain
Hans ke dekho na
Lateefa tumhein sunate hain

Khulke Jeene Ka Song Detail
Film/Album: Dil Bechara
Lyrics by: Amitabh Bhattacharya
Singer: Arijit Singh, Shashaa Tirupati
Composer: AR Rahman

What do you think?

Mentor

Written by pragya singh

Years Of MembershipContent AuthorYears Of MembershipContent AuthorUp/Down VoterUp/Down VoterYears Of MembershipUp/Down VoterYears Of MembershipUp/Down Voter

Comments

Share your commnents

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

GIPHY App Key not set. Please check settings

Loading…

0
This is the collection of images of prime minister Narendra Modi

Narendra Modi Inspiring Quotes for Youth

Quote on worth by Dr. B.R. Ambedkar